Written by Sk Jahid Fazal
16-12-2017
|
Humein To Kab Se Hai Uss Pal Ka Intezaar Jab Tumhe Dekhainge Jee Bhar Ke Bar Bar Sharam Aaye To Haath Rakhlo Apni Ankho Par Nahi To Fir Mila Lo Ankhein Thodi Si Muskura Kar |
Saturday, December 16, 2017
Uss Pal Ka Intezaar - Poetry by Sk Jahid Fazal
Saturday, November 4, 2017
Har Ek Raat - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
04-11-2017
|
Har Ek Raat Agar Aisa Hi Raat Hota Chandni Se Bhari Hui Qayenaat Hota Mere Haathon Mein Tumhara Haath Hota Suhana Mausam Mein Pyaar Bhari Baat Hota Toh Haseen Aur Yaadgar Har Mulaqat Hota Jannat Ki Saari Khushiya Hamare Saath Hota |
Wednesday, October 25, 2017
Woh Mera Taaj Hai - Poetry by Sk Jahid Fazal
Masum Pari Hai Woh, Na Usme Koi Raaz Hai,
Uski Har Khubiyon Par Humein Naaz Hai.
Jitni Madhur Uski Payalon Ki Awaaz Hai,
Utni Haseen Uski Baaton Ki Andaaz Hai.
Main Agar Mahal To Woh Mera Taaj Hai,
Wohi Mera Kal Hai Wohi Mera Aaj Hai.
Sk Jahid Fazal
|
Friday, October 20, 2017
Dil Mein Umang - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
20-10-2017
|
Jigar Mein Josh Aur Dil Mein Umang Hai, Iss Mohabbat Ki Kitne Saare Rang Hai, Dil Aur Dimag Ke Beech Hamesha Jang Hai, Par Jab Tak Do Deewane Sang Sang Hai, Yeh Mohabbat Bhi Malang Malang Hai. |
Tuesday, October 10, 2017
Mushkil Hai Pyaar - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
10-10-2017
|
Suna Hai Mushkil Hai Pyaar Ki Kahaani Likhna, Jaise Paani Mein Paani Se 'Paani' Likhna, Yu Hi Adhuri Reh Jaati Hai Kuch Kahaaniyaan, Har Adhuri Kahaani Se Zaruri Hai Kuch Sikhna. |
Wednesday, September 20, 2017
Sobujsathee - Bengali Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
20-09-2017
|
হাজারো স্বপ্নের ভিড় , লক্ষ্য আছে স্থির, মনটা শুধু অধীর । মন তো সেদিনই হারিয়েছি, অজানা পথে যেদিন পা বাড়িয়েছি, ফেরারি এ মন বারবার হারিয়ে যেতে চাই । আজ ফুল ফুটুক, আবার সূর্য উঠুক, ক্লান্ত মেঘেরা ধীরে ধীরে সরে যাক, ধূসর ধরিত্রীর বুক সবুজে ভরে যাক, তোমায় তো সবুজসাথী রূপেই পেতে চাই । |
Thursday, September 14, 2017
Kya Sunehra Pal - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
14-09-2017
|
Kya Sunehra Pal Tha, Kya Haseen Lamha Tha Woh Jo Suhaani Umar Thi Aaj Kho Gayee, Woh Hasna Khelna, Har Waqt Muskurana, Woh Bachpan Ki Neend Ab Khwab Ho Gayee, Na Kuch Sochna Tha, Na Koi Pareshani Thi, Raat Hui, Aankhe Bandh Hui Aur So Gayee. |
Saturday, August 26, 2017
Dard Bhari Jindegi - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
26-08-2017
|
Dard Bhari Jindegi Humne Bhi Jiya Hai, Har Ek Dard Ko Apna Bana Liya Hai. Gham Ke Aanshu Bahut Humne Bhi Piya Hai, Palkon Pe Phir Bhi Magar Sapna Saja Liya Hai. Tumhe Nahin Malum Akhir Dil Mein Mere Kya Hai ? Ummeedon Se Sada Roushan 'Mohabbat Ka Diya' Hai. |
Wednesday, August 23, 2017
Kobitar Proti - Bengali Poetry by Sk Jahid Fazal
কবিতার প্রতি
|
Written by Sk Jahid Fazal
23-08-2017
|
ওগো কবিতা, তুমি কি শুনছো ? হ্যাঁ, তোমাকেই বলছি, এসো না আমার মনে, অবচেতনে, সাদা পাতাগুলো ভরিয়ে দাও নানাবিধ রঙে । তুমি ঝরে পড় কলমের কালি হয়ে, মেতে ওঠো লাল নীল হলুদের মেলাতে, একটু আদর , একটু আবেগ মিশিয়ে তোমাকে সাজাতে চাই অতি যতনে, শব্দ ও ছন্দের এই অদ্ভুত খেলাতে । তোমাকে খুঁজে চলি অবিরত শয়নে-স্বপনে, তুমি তো নিদারুন প্রশান্তি এই ক্লান্ত জীবনে । তুমিই তো করেছো আমার হৃদয় হরণ, তোমার রুপ-রস-গন্ধ-স্পরশে স্নেহভরা চুম্বন । কেউ না থাক , শুধু তুমি থাকো এই জীবন জুড়ে , সুখদুঃখের সাথী হয়ে বাজতে থাকো ছন্দে সুরে । |
Friday, August 18, 2017
Protyoi - Bengali Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
18-08-2017
|
বড় জটিল এই জীবন বড় কঠিন এই সময়, চেয়ে দেখো চারিদিকে মানুষ যে নির্দয় ! ভালবাসলে আঘাত পাবে, কি এমন বিস্ময় ? পারি না তবু শিকলে বেঁধে রাখতে এ হৃদয় । ভালবাসতে জানি যখন পাবো কেন ভয় ? আঘাত আসুক, কষ্ট থাকুক, করব সবই জয়, ভালবাসাতে ভরিয়ে দেওয়ার করেছি প্রত্যয় । |
Tuesday, August 15, 2017
Watan Pe Mar Ke Dekho - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
15-08-2017
|
Jitna Pyaar Mehbooba Se Karte Ho Kabhi Watan Se Kar Ke Dekho, Jaise Marte Ho Sanam Pe Apnay Kabhi Watan Pe Mar Ke Dekho, Sanam Toh Akhir Bewafaa Hota Hai, Karni Hai Varosa Toh Watan Pe Kar Ke Dekho. |
Wednesday, July 26, 2017
Yeh Pyaar Kya Hota Hai - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
26-07-2017
|
Yeh Pyaar Kya Hota Hai ? Kabhi Phulon Mein Khilti Shabnam Hai, Toh Kabhi Badalte Huye Mausam Hai. Kabhi Yeh Dil Ki Tezz Dhadkan Hai, Kabhi Bebasi Aur Tadpan Hai. Yeh Tapti Dhoop Mein Barish Hai, Yeh Na Mitnewala Khawaish Hai. Yeh Pyaar Bahut Hi Khaas Hai, Yeh Ek Alag Hi Ehsaas Hai, Jo Dur Rehte Hai Wo Dil Ke Pass Hai. Kisi Ke Liye Yeh Mauka Hai Toh Kisi Ke Liye Yeh Dhokha Hai Phir Bhi Kisi Ne Khud Ko Nahi Roka Hai . Kyon Ki Yeh Anmol Hai , Bahut Anokha Hai. |
Wednesday, June 14, 2017
Khushiyon Ki Barsaat - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
14-06-2017
|
Tum Se Main Bahut Zyada Dur Hun Phir Bhi Tumhari Nashe Mein Chur Hun Tum Ko Yaad Karna Ek Aadat Ban Gayi Ab Iss Aadat Se Main Majbur Hun. Kabhi Mauka Mile Toh Tum Se Baat Ho Jaaye Phir Kisi Din Kahin Pe Mulaqat Ho Jaaye Pyaar Karne Laga Hun, Tum Bhi Karlo Aur Hum Dono Ek Saath Ho Jaaye Umar Bhar Ke Liye Rishta Banalo Toh Jeevan Mein Khushiyon Ki Barsaat Ho Jaaye. |
Friday, June 2, 2017
Mausam Rangeela Hai- Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
29-05-2017
|
Aasmaan Aaj Neela Hai, Mausam Bhi Rangeela Hai, Bade Dino Baad Dil Mein Ek Taza Phul Khila Hai. Jaanta Hun Tumhe Dard-e-Judaai Kuch Zyada Mila Hai, Maanta Hun Yeh Tumhari Bepanah Pyaar Ka Sila Hai. Phir Bhi Khudaa Se Na Koi Shikwa Hai, Na Koi Gila Hai, Yeh Toh Saare Ussi Ka Khel Hai, Ussi Ka Hi Leela Hai. Ab Kisi Tarha Tumse Jan-Pehchaan Ho Jaaye, Ye Hi Hai Ek Khawaish Jo Mere Dil Se Nikla Hai, Baat Toh Karna Aata Hai Mujhe Phir Bhi Tum Sambhal Lena, Kyon Ki Yeh Janab Thoda Zyada Hi Sharmila Hai. |
Saturday, May 27, 2017
Mahe Ramadan - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
27-05-2017
|
Ek Naya Chand Nazar Aaya Hai, Mahe Ramadan Ko Saath Laaya Hai, Uss Chand Ka Ekbar Deedar Kar Lo, Roza Kar Lo Aur Namaz Bhi Padh Lo. Allah Aur Nabee Ke Liye Khud Ko Beqarar Kar Lo, Yehi Hai Mauka Khudaa Se Ishq Ka Izhaar Kar Lo. Dil Mein Mohabbat Aur Khusiya Bhar Lo, Sab Saath Mein Sehri Aur Iftaar Kar Lo. Yeh Mahina Yuhi Beet Na Jaaye Har Kisi Se Pyaar Beshumar Kar Lo, Tadap Rahega Tumhe Eid Ki Tohfe Ki Par Usske Liye Kuch Din Intezaar Kar Lo. |
Tuesday, April 11, 2017
Chandni Raat - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
11-04-2017
|
Chandni Raat Phir Se Aayi Hai, Charo Taraf Madhoshi Chhayi Hai, Kuch Yaadein Saath Mein Laayi Hai, (Wo Bhi Kya Raat Tha, Haathon Mein Haath Tha Pyaar Ka Saugat Tha, Haseen Mulaqat Tha, Kuch Aisa Baat Tha, Shayad Dua-e-Kayenaat Tha.) Par Ab Koi Nahi Raha Sirf Meri Parchhayee Hai, Na Jaane Ish Raat Mein Kaisi Gehrayee Hai ! Ek Chand hai, Main Hun Aur Meri Tanhayee Hai. |
Wednesday, March 8, 2017
Naree - Bengali Poetry by Sk Jahid Fazal
নারী
|
Written by Sk Jahid Fazal
08-03-2017
|
নারী মানে শক্তি, সহজ সরল প্রান, নারী মানে শিল্প, শ্রুতিমধুর গান , নারী ছাড়া এ জগত একেবারেই ম্লান । নারী মানে ভক্তি, অকাতরে দান, নারী মানে ভালোবাসা, প্রেম-প্রীতি-টান, নারী ছাড়া এজগত একেবারেই ম্লান । নারী মানে মায়ের আঁচল, স্নেহের সন্তান, নারী মানে বিশ্বকর্মা, অজস্র অবদান, নারী ছাড়া এ জগত একেবারেই ম্লান । নারী মানে প্রতিবাদ, অগ্নিশিখা লেলিহান, নারী মানে অধিকার, বঞ্চনার অবসান, নারী ছাড়া এ জগত একেবারেই ম্লান । নারী মানে আলিঙ্গন, শ্রদ্ধার পীঠস্থান, নারীকূল কে কখনো করো না অসম্মান, ভালোবেসে নর ও নারী করো সহাবস্থান, নারী ছাড়া এজগত একেবারেই ম্লান । |
Tuesday, March 7, 2017
Mauka Na Do - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
07-03-2017
|
Tanhaiyon Ko Kabhi Dassne Ka Mauka Na Do, Kuch Yaadon ko Dimag Mein Basne Ka Mauka Na Do, Dard Ko Dil Pe Shikanja Kasne Ka Mauka Na Do, Surat Nahi , Sirat Se Aapna Pehchaan Banao Aus Kisi Ko Aap Par Kabhi Hasne Ka Mauka Na Do. |
Thursday, February 2, 2017
Ae Zindagi Tu Jaanle - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
02-02-2017
|
Ae Zindagi Tu Jaanle Har Musibat Se Tujhe Ab Datke Ladna Hai, Hosla Tu Karle Buland Na Ab Kisi Se Darna Hai, Umang Aur Josh Ka Udaan Tujhe Tere Dil Mein Bharna Hai, Dil Tera Koi Seesa Nahi Tha Jo Tut Gaye, Tujhe Phir Se Ishq Karna Hai, Bus Jo Chehera Tere Dil Mein Chhupa Hai Usse Thik Se Padhna Hai, Khuda Tere Saath Hoga , Befikr Tujhe Aage Badhna Hai, Jo Bhi Jitne Pal Tujhe Milega Usko Khusiyo Se Bharna Hai, Mar Mar Ke Tu Ne Bahut Jee Liye, Ab To Tujhe Jee Jee Ke Marna Hai, Jee Jee Ke Marna Hai.. Jee Jee Ke Marna Hai... |
Saturday, January 7, 2017
Swapner Deshe - Bengali Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
07-01-2017
|
জেগে উঠে ঘুমের শেষে, জেগে থাকি স্বপ্নের দেশে, দুঃখ আছে , তাও সবাই থাকে হেথায় খেলে হেসে । আপদ আছে, বিপদ আছে, দাঁড়ায় সবাই পাশে এসে । কেউ পরে না মুখোশ হেথায়, কেউ থাকে না ছদ্মবেশে । আমরাও তো থাকতে পারি এমনভাবে মিলে মিশে, আপন করে নিতে পারি পরস্পরকে ভালোবেসে । |
Subscribe to:
Posts (Atom)