Showing posts with label Happiness Poetry. Show all posts
Showing posts with label Happiness Poetry. Show all posts

Wednesday, June 14, 2017

Khushiyon Ki Barsaat - Poetry by Sk Jahid Fazal

Khushiyon Ki Barsaat
Written by Sk Jahid Fazal
14-06-2017

Tum Se Main Bahut Zyada Dur Hun
Phir Bhi Tumhari Nashe Mein Chur Hun
Tum Ko Yaad Karna Ek Aadat Ban Gayi
Ab Iss Aadat Se Main Majbur Hun.

Kabhi Mauka Mile Toh Tum Se Baat Ho Jaaye
Phir Kisi Din Kahin Pe Mulaqat Ho Jaaye
Pyaar Karne Laga Hun, Tum Bhi Karlo
Aur Hum Dono Ek Saath Ho Jaaye
Umar Bhar Ke Liye Rishta Banalo
Toh Jeevan Mein Khushiyon Ki Barsaat Ho Jaaye.



Friday, October 21, 2016

Apna Ghar To 'Jannat' Hai - Poetry by Sk Jahid Fazal

Apna ghar
Written by Sk Jahid Fazal
21-10-2016

Yun To Hum Lakho Dard Sehte Hai,
Phir Bhi Nahi Malum 'Tragedy' Kise Kehte Hai,
Kyon Ki Hum Maa aur Papa Ke Sang Rehte Hai,
Apna Ghar To 'Jannat' Hai, 
Yaha Pe Sirf Khusiyon Ki Aansu Behte Hai.