Showing posts with label Romantic Poetry. Show all posts
Showing posts with label Romantic Poetry. Show all posts

Saturday, November 4, 2017

Har Ek Raat - Poetry by Sk Jahid Fazal

Har Ek Raat
Written by Sk Jahid Fazal
04-11-2017

Har Ek Raat Agar Aisa Hi Raat Hota
Chandni Se Bhari Hui Qayenaat Hota

Mere Haathon Mein Tumhara Haath Hota
Suhana Mausam Mein Pyaar Bhari Baat Hota

Toh Haseen Aur Yaadgar Har Mulaqat Hota
Jannat Ki Saari Khushiya Hamare Saath Hota




Wednesday, October 25, 2017

Woh Mera Taaj Hai - Poetry by Sk Jahid Fazal

one blog

Masum Pari Hai Woh, Na Usme Koi Raaz Hai,
Uski Har Khubiyon Par Humein Naaz Hai.
Jitni Madhur Uski Payalon Ki Awaaz Hai,
Utni Haseen Uski Baaton Ki Andaaz Hai.
Main Agar Mahal To Woh Mera Taaj Hai,
Wohi Mera Kal Hai Wohi Mera Aaj Hai.
Sk Jahid Fazal



Saturday, August 26, 2017

Dard Bhari Jindegi - Poetry by Sk Jahid Fazal


Dard Bhari Jindegi
Written by Sk Jahid Fazal
26-08-2017

Dard Bhari Jindegi Humne Bhi Jiya Hai,
Har Ek Dard Ko Apna Bana Liya Hai.
Gham Ke Aanshu Bahut Humne Bhi Piya Hai,
Palkon Pe Phir Bhi Magar Sapna Saja Liya Hai.
Tumhe Nahin Malum Akhir Dil Mein Mere Kya Hai ?
Ummeedon Se Sada Roushan 'Mohabbat Ka Diya' Hai.




Wednesday, July 26, 2017

Yeh Pyaar Kya Hota Hai - Poetry by Sk Jahid Fazal

Yeh Pyaar Kya Hota Hai
Written by Sk Jahid Fazal
26-07-2017

Yeh Pyaar Kya Hota Hai ?
Kabhi Phulon Mein Khilti Shabnam Hai,
Toh Kabhi Badalte Huye Mausam Hai.
Kabhi Yeh Dil Ki Tezz Dhadkan Hai,
Kabhi Bebasi Aur Tadpan Hai.
Yeh Tapti Dhoop Mein Barish Hai,
Yeh Na Mitnewala Khawaish Hai.
Yeh Pyaar Bahut Hi Khaas Hai,
Yeh Ek Alag Hi Ehsaas Hai,
Jo Dur Rehte Hai Wo Dil Ke Pass Hai.
Kisi Ke Liye Yeh Mauka Hai
Toh Kisi Ke Liye Yeh Dhokha Hai
Phir Bhi Kisi Ne Khud Ko Nahi Roka Hai .
Kyon Ki Yeh Anmol Hai , Bahut Anokha Hai.




Wednesday, June 14, 2017

Khushiyon Ki Barsaat - Poetry by Sk Jahid Fazal

Khushiyon Ki Barsaat
Written by Sk Jahid Fazal
14-06-2017

Tum Se Main Bahut Zyada Dur Hun
Phir Bhi Tumhari Nashe Mein Chur Hun
Tum Ko Yaad Karna Ek Aadat Ban Gayi
Ab Iss Aadat Se Main Majbur Hun.

Kabhi Mauka Mile Toh Tum Se Baat Ho Jaaye
Phir Kisi Din Kahin Pe Mulaqat Ho Jaaye
Pyaar Karne Laga Hun, Tum Bhi Karlo
Aur Hum Dono Ek Saath Ho Jaaye
Umar Bhar Ke Liye Rishta Banalo
Toh Jeevan Mein Khushiyon Ki Barsaat Ho Jaaye.



Tuesday, April 11, 2017

Chandni Raat - Poetry by Sk Jahid Fazal

Chandni Raat
Written by Sk Jahid Fazal
11-04-2017

Chandni Raat Phir Se Aayi Hai, 
Charo Taraf Madhoshi Chhayi Hai,
Kuch Yaadein Saath Mein Laayi Hai,
(Wo Bhi Kya Raat Tha,
Haathon Mein Haath Tha
Pyaar Ka Saugat Tha,
Haseen Mulaqat Tha,
Kuch Aisa Baat Tha,
Shayad Dua-e-Kayenaat Tha.)
Par Ab Koi Nahi Raha Sirf Meri Parchhayee Hai, 
Na Jaane Ish Raat Mein Kaisi Gehrayee Hai ! 
Ek Chand hai, Main Hun Aur Meri Tanhayee Hai.



Monday, March 24, 2014

Teri Har Baaton Se Written by Sk Jahid Fazal

Teri Har Baaton Se
Written by Sk Jahid Fazal
24-03-2014

Teri Har Baaton Se Tera Deedar Hua,
Na Milke Bhi Aankhein Chaar Hua,
Kuch Teri Kuch Meri Baaton Ka Asar Hua,
Dur Reh Kar Bhi Itna Gehra Pyaar Hua,
Karle Tu Kitni Bhi Inkaar Jaaneman,
Milne Ke Liye Dil Tera Bhi Beqaraar Hua.


Dedicated to all Long-distance Lovers and Online Lovers

Monday, June 24, 2013

Tere Hontho Ki Shabanm - Poetry by Sk Jahid Fazal

Tere Hontho Ki
Written by Sk Jahid Fazal
24-06-2013

Tere Hontho Ki Shabnam Main Pee Kay Chaloon, 
Tere Saath Pal Do Pal Jee Kay Chaloon.
Tuhi Arzoo Tuhi Zustjoo Ae Humnasheen ,
Har Safar Pe Tere Sath Chalta Rahoon.