Written by Sk Jahid Fazal
31-12-2016
|
Saal Ki Aaj Hai Aakhri Raat, Jhum Uthi Hai Puri Qayenaat. Chalo Bhul Ke Saari Purani Baat, Manaate Hai Jashn Sab Ek Saath. Naya Saal Laayega Khusi Ki Saugaat, Badal Jaayega Zaroor Sabhi Ke Halaat. |
Saturday, December 31, 2016
Saal Ki Aakhri Raat - Poetry by Sk Jahid Fazal
Tuesday, December 20, 2016
Mohabbat Ka 'Diya' - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
20-12-2016
|
Tujhse Tha Ishq Bepanah, Tere Ishq Mein Hi Tha Jiya, Ummeed Kitna Leke Tera Hi Intezaar Tha Kiya, Par Tere Inqaar Se Toota Hua Dil Ko Main Phir Se Jod Liya, Dil Mein Phir Se Jalaya Hai Mohabbat Ka 'Diya'. |
Thursday, December 15, 2016
Sei Raat e - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
15-12-2016
|
সেই রাতে পুর্ণিমার চাঁদ ছিল আকাশে, কিছু ফুল,শিশিরেরও ঘ্রাণ ছিল বাতাসে, কিন্তু হায়! দ্রুত সবই হয়ে গেল ফ্যাকাশে, হৃদয় তো আজও আছে তোমার' ঠিক পাশে, মন চায় সেই রাত যেন বারবার ফিরে আসে । |
Sunday, December 11, 2016
Sapna Tut Gaye - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
11-12-2016
|
Jo Sapna Humne Dekha Tha Woh Tut Gaye, Jo Haath Tham Na Chaha Tha Wo Chhut Gaye, Uski Mohabbat Mein Hum Aise Loot Gaye, Ke Uski Jaane Se Hum Khud Se Hi Rooth Gaye. |
Thursday, December 1, 2016
Jumme Ki Raat - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
01-12-2016
|
Jumme Ki Raat Hai Aaj Yeh Raat Yun Hi Beet Jayega, Kya Khabar Hai Kisi Ko Shayad Yeh Raat Fir Se Na Aayega, Musalsal Kuch Duyaien Maang Lo Aaj Khuda Se, Yaqeenan Woh Tumhe Khush Khabar Jald Hi Sunayega. |
Monday, November 28, 2016
Duniya Kitni Zalim Hai - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
28-11-2016
|
Duniya Kitni Zalim Hai, Log Yahan Gham Dete Hai Hum Ko Rulane Ke Liye, Hum Bhi Kahan 'Shayar' Hai , Hum Toh Bus Likhte Hai Gham Ko Bhulane Ke Liye. |
Sunday, November 27, 2016
Dil Jal Raha Hai - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
2 7-11-2016
|
Dekho Na Yeh Dil Kaise Jal Raha Hai, Dhadkan Ruk Gaya, Bus Saansein Chal Raha Hai. Jis Ki Roshni Kabhi Ummeedein Jagaya Tha Woh Suraj Bhi Dheere Dheere Dhal Raha Hai. |
Wednesday, November 23, 2016
Darne Laga Hun - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
23-11-2016
|
Mohabbat Ki Anjaam Se Main Darne Laga Hun, Aankho Mein Bewajah Aansu Bharne Laga Hun, Dil aur Khwab Apna To Aisa Tuta Hai, Ke Ab Chalte Firte Sher-o-Shayari Karne Laga Hun |
Friday, October 21, 2016
Apna Ghar To 'Jannat' Hai - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
21-10-2016
|
Yun To Hum Lakho Dard Sehte Hai, Phir Bhi Nahi Malum 'Tragedy' Kise Kehte Hai, Kyon Ki Hum Maa aur Papa Ke Sang Rehte Hai, Apna Ghar To 'Jannat' Hai, Yaha Pe Sirf Khusiyon Ki Aansu Behte Hai. |
Friday, September 16, 2016
Chand Nazar Aayenge - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
16-09-2016
|
Aasman Mein Dekho Ek Bada Sa Chand Nazar Aayenge, Woh Khusiya Aur Gham Ek Saath Laayenge, Uski Roshni Mein Hum Kuch Ish Tarha Kho Jayenge Ke Na Dhang Se Hum Ro Payenge, Aur Nahi Chain Se Aaj So Payenge. |
Saturday, August 27, 2016
Chand Ki Roshni - Poetry by Sk Jahid Fazal
Written by Sk Jahid Fazal
27-08-2016
|
Chand Ki Roshni Ko Dekho, Woh Apko Chamkaayen, Phulo Ki Taazgi Ko Dekho, Woh Apko Mehkaayen, Aaj Dil Se Maang lo Kuch Duaayen, Shayad Woh Qubul Ho Jaayen. |
Subscribe to:
Posts (Atom)